Dil Mai Ho Tum Lyrics



Chal diya
Dil tere peeche-peeche
Dekhta main reh gaya
Kuch toh hai tere mere darmiyan
Jo ankaha sa reh gaya.

Main jo kabhi keh na saka
Aaj kehta hoon pehli dafa,
Dil me ho tum
Aankhon mein tum
Pehli nazar se hi yaara.

Dil me ho tum
Aankhon mein tum
Pehli nazar se hi yaara,
Yeh ishq ki hain saazishein
Lo aa mile hum dobara.

Dil me ho tum
Aankhon mein tum
Pehli nazar se hi yaara
Pehli nazar se hi yaara.

Sarphira sa main musafir
Paaon kahin thehre na mere
Phir meri aawargi ko
Aane lage khaab tere.

Hum...sarphira sa main musafir
Paaon kahin thehre na mere
Phir meri aawaargi ko
Aane lage khaab tere
Yeh pyaar bhi kya qaid hai
Koi hona na chaahe riha.

Dil mein ho tum
Aankhon mein tum
Pehli nazar se hi yaara
O...yeh ishq ki hain saazishein
Lo aa mile hum dobara.

Dil mein ho tum
Aankhon mein tum
Pehli nazar se hi yaara
Pehli nazar se hi yaara.

Tere bin ye saare mausam
Berang the bemaza the
Shaamil nehi thi tu jinme
Wo saare pal bewajah the,
Woh zindagi hai hi nahi
Jo main tere bina jee liya

Dil main ho tum

Aankhon mein tum
Pehli nazar se hi yaara
O... yeh ishq ki hain saazishein
Lo aa mile hum dobara.

Dil me ho tum
Aankhon mein tum
Pehli nazar se hi yaara
Pehli nazar se hi yaara.